Allama Iqbal Poetry - Sitaroon Se Aage [Deewan-E-Allama Iqbal - Urdu and Hindi Shayari Blog

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Tuesday, June 16, 2020

Allama Iqbal Poetry - Sitaroon Se Aage [Deewan-E-Allama Iqbal

ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں



सितारों के आगे जहाँ और भी हैं
अभी इश्क़  के इम्तिहा और भी हैं

Sitaaron Ke Aage Jahan Aur Bhi Hain,

Abhi Ishq Ke Imtehaan Aur Bhi Hain,


There are yet more worlds beyond the Stars
There are more tests that love is yet to go past


Complete Nazam

Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fazaen Yahan Saikdon Karwan Aur Bhi Hain Qanaat Na Kar Aalam-e-rang-o-bu Par Chaman Aur Bhi Aashiyan Aur Bhi Hain Agar Kho Gaya Ek Nasheman To Kya Gham Maqamat-e-ah-o-fughan Aur Bhi Hain Tu Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera Tere Samne Aasman Aur Bhi Hain Isi Roz-o-shab Mein Ulajh Kar Na Rehja Ke Tere Zaman-o-makan Aur Bhi Hain Gaye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein Yahan Ab Mere Raaz-dan Aur Bhi Hain


No comments:

Post a Comment