ऐसी नहीं है बात कि क़द अपने घट गए
चादर को अपनी देख के हम ख़ुद सिमट गए
aisi
nahin hai baat ki qad apne ghaat gaaye
chadar
ko apni dekh ke ham ḳhud simat gaaye
Cut your coat according to your cloth
chadar ko apni dekh ke ham ḳhud simat gaaye
jab haath men qalam tha to alfaz hi na the
ab lafz mil gaaye to mire haath kat gaaye
sandal ka main daraḳht nahin tha to kis liye
jitne the gham ke naag mujhi se lipat gaaye
baithe the jab to saare parinde the saath saath
udte hi shaḳh se kai samton men bat gaaye
ab ham ko shafqaton ki ghani chhanv kya mile
jitne the saya-dar shajar saare kat gaaye
'saġhar' kisi ko dekh ke hansna pada mujhe
duniya samajh rahi hai mire din palat gaaye
ऐसी नहीं है बात कि क़द अपने घट गए
चादर को अपनी देख के हम ख़ुद सिमट गए
जब हाथ में क़लम था तो अल्फ़ाज़ ही न थे
अब लफ़्ज़ मिल गए तो मिरे हाथ कट गए
संदल का मैं दरख़्त नहीं था तो किस लिए
जितने थे ग़म के नाग मुझी से लिपट गए
बैठे थे जब तो सारे परिंदे थे साथ साथ
उड़ते ही शाख़ से कई सम्तों में बट गए
अब हम को शफ़क़तों की घनी छाँव क्या मिले
जितने थे साया-दार शजर सारे कट गए
'साग़र' किसी को देख के हँसना पड़ा मुझे
दुनिया समझ रही है मिरे दिन पलट गए
No comments:
Post a Comment