Poem by Gulzar
हाथ छूटें भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
वक़्त की शाख़ से लम्हे नहीं तोड़ा करते
जिस की आवाज़ में सिलवट हो निगाहों में शिकन
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नहीं जोड़ा करते
लग के साहिल से जो बहता है उसे बहने दो
ऐसे दरिया का कभी रुख़ नहीं मोड़ा करते
जागने पर भी नहीं आँख से गिरतीं किर्चें
इस तरह ख़्वाबों से आँखें नहीं फोड़ा करते
शहद जीने का मिला करता है थोड़ा थोड़ा
जाने वालों के लिए दिल नहीं थोड़ा करते
जा के कोहसार से सर मारो कि आवाज़ तो हो
ख़स्ता दीवारों से माथा नहीं फोड़ा करते
haath chhuten bhi to rishte nahin chhoda karte
vaqt ki shakh se lamhe nahin toda karte
jis ki avaz men silvat ho nigahon men shikan
aisi tasvir ke Tukde nahin joda karte
lag ke sahil se jo bahta hai use bahne do
aise dariya ka kabhi rukh nahin moda karte
jagne par bhi nahin aankh se girtin kirchen
is tarah khvabon se ankhen nahin phoda karte
shahd jiine ka mila karta hai thoda thoda
jaane valon ke liye dil nahin thoda karte
ja ke kohsar se sar maaro ki avaz to ho
khasta divaron se matha nahin phoda karte
No comments:
Post a Comment