हम सायादार पेड़ ज़माने के काम आए
जब सूखने लगे तो जलाने के काम आए
तलवार की नेयाम कभी फेंकना नहीं
मुमकिन है दुश्मनों को डराने के काम आए
कच्चा समझ के बेच न देना मकान को
शायद कभी ये सर को छुपाने के काम आए
ऐसा भी हुस्न क्या कि तरसती रहे निगाह
ऐसी भी क्या ग़ज़ल जो न गाने के काम आए
वह दर्द दे जो रातों को सोने न दे हमें
वह ज़ख़्म दे जो सबको दिखाने के काम आए
मुनव्वर राना
Hum saayadaar ped zamaane ke kaam aaye
Jab sookhne lage to jalaane ke kaam aaye
Talwaar ki neyaam kabhi phenkna nahin
Mumkin hai dushmanon ko daraane ke kaam aaye
Kachcha samajh ke bech na dena makaan ko
Shaayad kabhi ye sar ko chhupaane ke kaam aaye
Aisa bhi husn kya ki tarasti rahe nigah
Aisi bhi kya ghazal jo na gaane ke kaam aaye
Woh dard de jo raato ko sone na de humein
Woh zakhm de jo sabko dikhane ke kaam aaye
Munawwar Rana
No comments:
Post a Comment